Kuch shabdon ke upar pehle ,ek rok lagayi thi maine;
Main pooch raha ,yeh khud se ,bhrose ki matt maari thi
Likhne padhne do, uss gyaani ko ,jisne who waqt bitaya tha
Kya khaak likhon gey tum ispar,dil koh yunhi behlaaya tha.
Khud ko nicha dikhlaya tha,
Kuch khoya ,na kuch paaya tha
Ek lau jali ,bas pal bhar ki,mann thehra thehra rehta tha,
Main aas lagaye baitha tha, khud hi mein khud ko Dhoonda tha
Jeevan ka wah ek lakshya ,chaltey chaltey hi paana tha.
Uss raat shama paglaya tha
Main dhoond raha parwaane ko
Khud main parwana paya tha
Rahul Bharti
Tuesday, August 17, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment